Monday, March 07, 2011

Random..


Yun aaj kisi baat ka zikr karte nazar aate hain
Iqraar har jazbaat ka be-fikr karte nazar aate hain
Kabhi sochtey hain ki tum samajhtey to kya kehtey
Kabhi tumhari naasamjhi ka shukr karte nazar aate hain

6 comments:

Divesh said...

Jaante hain ki ye nasamjhi bas bahaana bhar hai
Phir bhi najaane kyun sataane ka kusoor karte nazar aate hain

Tapasya said...

Hain unka andaaz-e-bayaan hi kuch aisa
Ki baat-baat par be-sabr karte nazar aate hain
Khud uljhaakar rakhtey hain jazbaat apney
Aur bahane-baazi ka faqr karte nazar aate hain

Anonymous said...

ye bi ik adaa hai humari, ab bataye jaate hain
ke tum roothogi nahi to hum manaayege kaise
aur manaatey huae kabhi, jaankar yun hi
bahane se tumhe paas laayege kaise

Tapasya said...

@Anon:
Bade chale aate hain yahaan
Aur adaa samjhaane ki baat karte hain
Naam tak chhupate hain apna
Aur kareeb aane ki baat karte hain

Vrinda said...

:-)

Tapasya said...

@Vrinda: :-)